Tagged Under: ,

Dastaan dil ki!!

  • Share The Gag



  •  
    Socha kai bar ki hum  itna jhagadte kyun hai,
    kai baar khayal aaya ki bhul jau tumhe,
    thod du sare rishte tumse,
    socha ki jise kader nahi mere pyar ki
    uska kyun karti hun me intezar,
    kyun sochati hun ki ,
    kabhi na kabhi use hoga mere pyaar ka ehsaaas..

     jab bhi chati hu apne rishte ko ek aur mauka dena
    tabi tum karte kuch aisi baat,
    jis se na chahkar bhi  karna padta hai
    Is dil ko mazbur
    ki bhul jaye wo tumhe.....

    par fir dil se ek awaz aati hai
    kaise bhula sakogi use jo tumhare saanso me basata hai,
    jis ka naam lekar dhadakta hai tumhara dil,
    jise tum jitna bhulna chahti ho,
    wo tumhe utna hi yaad aata hai.!!

    Is liye maan lo meri baat 
    na karo kabhi kisi se pyaar!! 

    kyun ki

    Pyaar karna jitna asaan hai usse bhulna utna hi mushkil hota hai

                                    
                                                                      Pinky