Tagged Under: ,

NA JANE KYUN........

  • Share The Gag



  • Na  jane kyun  karti hun tumse pyaar,
    Jab milna  sirf gam hi hai,
    Na jane kyun  karti hun tumhara intezaar,
    Jab milna mayusi hi hai.
     
    Na jane kyun karti hun  tum par aitbaar,
    Jab milna dhoka hi hai.
    Na jane kyun karti hun tumse waffa,
    Jab milna bewaffai hi hai.
     
    Na jane kyun chahti hun tumhe pana,
    Jab milna mumkin hi nahi,
    Na jane kyun tumhe chahti hun bhulna,
    Jab bhulna mumkin hi nahi,
     
    Na jane kyun lagaya is dil ko tumse,
    Jab tutna is dil ko hi hai.
    Na jane kyun  tum meri zindagi ho,
    Jab tumse milna kuch bhi nahi.
     
    Na jane kyun yaad karta hai dil tumhe,
    Jab meri yaad tumhe aati hi nahi.
    Na jane kyun ye dil rota hai ,
    Jab tum use samjhte hi nahi.
     
    Na jane kyun  umeed ki tumse,
    Jab milna tanhayee hi hai.
    Na jane kyun zindagi udaas  hai,
    Jab khushiyan hazaro hai........
     
    Na jane kyun ....Na jane kyun.....Na jane kyun