Hello friends this post is dedicated to all Mother's in this world on this Mother's day .
Mother a word which means a universe in one's life, an emotion that have no boundary and a feel that could never change and a part which no one wish to loose in their life.“Maa” the first word spoken by us when we take birth not even before opening our eyes.
There are many roles that is been played by a women but the most important role of her is as a Mother. It is been boon to a women to feel the life of other with in her..... I feel great to pen this feel and expressing the joy of mother in my life and i would also thank my friend Ravi for adding poetic beauty to it.
Maa ek aisa shabd hai jisme sari duniya samai hai, jiske jeevan me hoti hai, unse zyada khush naseeb koi nahi hota hai aur jiske jeevan me nahi hoti unka jeevan viran ho jata hai... Ma banane ka ehsaas ek aisa ehsaas hota hai jahan ek aurat ko uske sampoorn hone ka ehsaas deti hai. Wo pal unke liye bohat hi anmol hota hai aur wo unhe khulke jiti hain aur ek jeevan ko apne aap me mehsus karti hai. Jab wo kai sapne sajati hain apne hone wale bache ke liye , jis me wo itni magan ho jati hai ki koi dard nahi mehsus karti aur us pal ko sajane me lagi rehti hai.
Main aaj aap sub se apne mann ki baat kehna chati hun aur shayad subke mann ki jo wo mehsus tho karte hain par kabhi keh nahi pate aur jo ab tak mehsus nahi kiye hain wo ek bar zarur soche..
"Khuli jab aankh tujhe dekha,Maa jo humare janam lene k pehle se humare liye hi sochti hai aur humesha humme ek behter zindagi dene ki koshish karti hai. Unhe chahe kitni bhi takleef ho,wo humme uska ehsaas bhi nahi hone deti.Yaad aate hai wo din aaj, jab Maa humme rat bhar jag kar lory sunati ti ,jab tak hum so nahi jate the...
Ungali padak ke chalna sikha,
Sikha tujhse diniya daari,
Maa tu hai jag se pyaari."
Wo garmi k mausam me unka raat bhar jagkar pankha karna,
Bukhaar me raat raat bhar jag kar patiyan badalna,
Wo unka dard me bhi muskurana , unka ungli pakad kar humme chalna sikhana,
Asmaan chune ki zid me -ma ka godi utana ,
Jab bhi hume chot lagti tho unka ansu behna aur jor se humme dar se dantna aur fir humme gale lagana yaad ata hai,Yaad aate hai wo pal jab kabhi exam k result se darna aur Maa ka bharosa dilana ki sub tikh hi hoga.Jab hum bade hogaye tab unka humari zindagi me dost bankar sath rehna,Har sahi aur galat faisla me madat karna, humari galtiyon ko tikh karna.
“Dard diya tujhe ehsaas aaj hai mujhe,
Ashko se behte aansoo bhi yaad mujhe,
Kar di galti kaise maangu maafi tujhse,
Mujhko teri jarurat aaj bhi hai.”
Na jane kyun hum badal jate hain kisi aur ke humare kareeb aane se,
Na jane kyun humme apne hi dhusman lagne lagte hain , Na jaane kyu????????????
Har chiz galat lagne lagti hai Maa ka kareeb rehna ,
Koi sawal karna bura lagne lagta hai. Na jaane kyu????????????
Kyun bhul jate hain hum apne purane rishte jo humare sabse khaas hote hain, unhi se door hone lagte hain....Aur kisi begane ke liye hum anjane me unhe dukhi kar dete hain jo humare liye na jane kitne dukh sahe honge.. …
Aaj jab me akeli hun mujhe ehsaas ho raha hai kis takleef se meri maa guzri hongi...mene tho apni galti sudar li hai aur aaj fir unke kareeb hun jo mere zindagi hai aur humesha rahengi...
Aap sab bhi na jane kisi na kisi mod pe apni Maa ko takleef di hogi, jaan bujh k ya anjane me. unhe samjhe aur tikh kare kyun ki Maa se badh kar koi nahi Na hi koi kabhi ho sakta hai, bohat der hone se pehle unhe apne zindagi me wapas le aaye. Unhe koi ashram nahi ,unhe apne dil me basaye rakhe aur ye kabhi na bhule jo aap aaj apni ma k sath karenge wahi kal apke bache aap k sath karene...
"Sambhal jao waqt ab bhi hai,
Rab se bhi upar Maa apni hai,
Rakh lo dil mein fir tum dekho,
Khusiyan jag ki fir teri hai"
Mujhe lagta hai aap subko apne zindagi ki subse anmol chiz ki ehsaas ho gayi hogi aur koi galti hui hai tho use zarur sudarenge ....
Lets give them a reason to smile on this mother's day. Happy Mother's day to all lovely Mother's.